Agar gham na hote to ghazal kon kehta?
aapki khubsurti ko kanwal kon kehta?
Yeh to kareshma hai mohabbat ka warna,
pathar ki deewaron ko taaj mehal kon kehta?
Kabhi woh saamnay aa kar mujhe mila bhi nahi,
Main us say baat karon itna hosla bhi nahi,
Woh mangta hai sitaron ki roshni lekin,
mere pass to mitti ka aik diya bhi nahi
Dekho koi wada na karo bhool jaooge,
Mujhe yaad ziada na karo bhool jaooge..
Main aaon to kar lena giley shikway saare..
Abhi se irada na karo bhool jaooge.
Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar,
Mein Zinda rahu yeh dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.
Ye Yaad hai Apki ya Yaadon Main ap ho,
Ye Khowab hai Apka ya khowab Main ap ho.
Hum nahi jante Bas itna Bata do,
Hum Jaan Hain apki Ya Hamari Jaan ap ho…
Pagal howey jo hum to mohabat usey bhi thi,
Chaha jo Hum Ne Usko To Chahat Usey bhi thi.
Usko na Bhool Payein gey wo jante tha par,
Har Baat Bhool jane ki Aadat usey bhi thi…